/* Variable definitions
Monday, May 14, 2007
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko !Tumko Aankhon Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko !Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko !Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko !Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena,Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko !Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko !
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment